Thursday 20 May 2021

"Productivity for Goals"

 Hello guys .. I'm here back with my very fresh and new blog.. ❤️ how are you all.?? I'm hope you all are fit and fine with your family.. πŸ’ guys be safe and stay happy with your family and loves ones πŸ’ž.

So I hope you guys read my previous blog as well "Problems with toxic friendship".. if not 🚫 after this blog and go that one also..


So. Some new readers.. for you I introduce myself again.. I'm Harpreet Kaur Dhune.. Hello. To you again..

So without any further due let's start today's blog.. which is very interesting and help as well.!! 

 

So headline dekh kar ap sab samajh hi gaye ho gaye aj ka humara topic actual me kya hai.!!  

Productivity kese.??? Possible hai to jawab hai ha possible hai har kiske liye possible hai..!! Hum sab insaan hi to hai.. or humare bhi kuch sapne hai jinko hum sab apne hard work se pura karna chahata hai.. to uske liye to kuch tips and list bhi ho gayi.?? Hai na ki nahi..??? 



Agar nahi hai to aj se abhi se shuru ho jaiye..!! Kyu ki yeah zindagi hai mere dost.. kabhi haske to kabhi bohot kuch samjhke chala.. or kam karna hai or apne sapno ko pura jo karna hai..!! Or apno khush bhi karna hai..!? Life hum sab wo stage par jaha se dur dur tak kuch samjh nhi aa raha hai ab kya hoga kese hoga . Hoga bhi ya nahi.. sab bohot sare tens me hai.. to kya aise me productivity hum kar sakte hai.. to jawab hai..!!?? "ha" hum kar sakte hai agar hum apne din ki shuruat me hi apne pure din ka kam soch le usse samjh le to ho sakta hai.. ab kuch log soche gaye ki hum jo sochte hai wo to hota nahi kabhi.. to yeah kaise hoga..!?

Dekho guys yeah to me bhi agree karti hu ki hum jaisa sochte hai waisa nahi hota.. par hum bas sochte hai.. kya hum uske kuch karte bhi hai..?? Jawab hai nahi.!?? Ab yeah nahi kyu..? Kyuki hum bas profit ke piche piche chalte hai.. kya usee kabhi samjhte hai..kya sahi hai kya galat..!?? To sochna bhi shuru kar dijiye.. kya pata wo time se apki productivity shuru ho jaye khud apke liye.. sirf apke liye..!!




Ab aaate hai sidha point par.. shuru karte hai kuch example ke pass.. man lijiye apka goal hai ek month me apki khudki ek dhukan hai.. koi bhi le lijiye thik hai.. apne socha hai ki ap usse dhukan ko shuru karne me koi bhi din nahi chhod sakte kyu ki apka profit ussi dhukan se hai... Par ap kam kuch aise kar rahe hai.. morning me uthe to rahe hai par koi goals nahi hai.. kuch aim nahi hai.. kuch target nahi hai.?? Kya aise me ek month me dhukan ko profit de sakte ho.. jawab hai bikul bhi nahi..!! Ap aise kam karke kuch nahi kar sakte..!! Jab tak aap apni life me kuch aims nahi rakhte yah.. kuch target nahi rakhte.. aims or target dono hi bohot jada jaruri hai.. zindagi me humari kyu ki aims hum khud banate hai or target hume usse pura karne help karte hai..

Ab man lijiye.. apne ek month tak apne acchse aims set kiya hai or target se ap apna kam kar raha hai.. isse kya hoga..!?? Kuch hoga bhi.!?? To jawab hai ..! Ha hoga kyu nhi hoga karna chaye to insaan kya nahi kar sakta hai.. bas karna aana chaiye.. !! Ab wo hum kare kaise..!!! 


To kuch aise..!!! 


1.) Jada faltu ki batate sochna band kar dijiye... Bohot jada help karo gaye ap khudki..!!


2.) Kar kuch karne ka soch liya hai.. to rule kyu ho bas kar do.. accha hoga yah bura yeah ap apne hard work par chhod do..!!! Agar hard work sahi hai.. sahi directions me hai to.. sab accha hoga..!!


3.) Morning me uthke ek time set kijiye pure din ka kya karna hai kaise karna hai . !! Bas ek book ya dairy me likh lijiye..



Ek dairy or ek acchi book aapka jitna ye sath de sakti hai utna to koi bhi nahi de sakta.. agar kuch dimag me idea aa raha hai.. apne business ko grow karne ke liye ya kuch bhi etc.. usse use dairy me likh lijiye..!! Yaad rakho dimag par agar apne chhod diya ki apko yaad rahega to ap galat hai humare dimag me itna kuch chalta hai ki hum bohot si batate bhul jata hai... Isliye ek pen or kuch paper ya possible ho to ek dairy apne pass rakh liye....agar nahi to aj kal waise bhi smart work sab karte hai.. wo kya hai kuch aisa hai .. aj kal hum sabke paas smart phones hai..!! To phone me notes ka option bhi hai.. kya kabhi dekha hai option ko..?? Dekh to hoga dam sure par kya kuch likha hai.. agar nhi to likhna shuru kar dijiye or ek timer set kar dijiye agar apko yaad nahi bhi reha to apka smart phone apko yaad dilane me apki help to jarur karega..bas usse note lo shortcut key me convert karke aap timer set karke apko yaad rehga kab kya karna hai .. isse ap apne life ke goals ko achieve bhi kar sakte hai.. or ap apne liye time nhi nikal sakte hai or soch sakte hai apne liye kuch naya jo apko ek or accha insaan banane me help jarur kar sakta hai. 



Or guys ek acchi book , ya novel padhna shuru kar dijiye.. kyu ki books hume jitna support or.. samjha sakti hai utna or koi nahi help kar sakta.. khudko productivity ap khud bana sakte ho.. yeah chiz ap kiski par depend ho kar bikul nhi kar sakte..!! 




Aj ke liye itna hi umeed hai aj ka blog apko pasand aaya hoga.. kaisa laga batana jarur..


To kal milte hai ek naaye blog ke sath kuch naayi batato ke sath.. tab tak ke liye stay safe stay blessed..


Kal phir milte hai .. yahi or kaha.. jidr koi aa na paaye or agar aaye to phir jaa na paaye..


Ap mujhe mere instagram id par bhi follow kar sakte hain mera instagram handle hai #themisskaur..


Umeed hai apko blog pasand aaye..!!!

Monday 10 May 2021

"Related Toxic Friendship"

Hello friends. πŸ’ How are you all I hope someone is fit and fine.. 

First I introduce myself for those who recently connected with me.. 

Hii. I'm Harpreet Kaur Dhune.
I'm fashion blogger as well as sometimes I writer my own blog. Which I think to share with you..


So.. here I'm back with some new topic related our goals and ambitious..!! 

Without any further due let's start today's blog.. !!

So aap sab ne aj ki headline dekh hi Li ho gayi samjh gaye ho gaye aj ka topic actually hai kya.. So aj ka topic start karne se pahle me batana chahu gayi ki aj ka koi humare surrounding jo log hote hai. Unpar hai ab ye to koi bhi ho sakta hai.. kisko ye na lage ki kya ye me hu.!?? Kya ye mera koi dost.!? or ye phir kon.!?? Guys ye wo logo par hai jo durso ki life me jaane se pahale sochte hai ki me aisa kyu nahi..! Sab kiske pass kyu hai.! 
So aise logo se dur rehne ke liye aj ka blog hai..

Kya hum start Kare.!?  

So Actual me ye toxic people ya kuch toxic friendship hoti kya hai.. sometimes hum kuch aise logo se milte hai jo humse bohot alage sochte hai..!! Hai ya bhi hai har insan ek sa soche to kya hi baat hai...par ye log wo hai jo ab tak apni khudki life me kuch nahi kar paate.. bas sochte hi reh jate hai.. aj me ya karunga/ karugyi.!  Par hota kuch nahi. Phir ye kuch aise logo se milte hai jo apni life bohot kuch karni sochte hai or thoda bohot kuch na kuch kar bhi liya hota hai... Tab aise log unlogo ko dekh bhi nahi sakte..
Insan to Insan hai.. jealous hona bhi ek normal baat hai.. par aise log sab mind ko district karne aate hai..

To chaliye dekhte hai or sochte hai ki aise logo ke kese dur reha jaye..!!!




Samjh lijiye do person hai A or B..

A ne apni life me bohot kuch karne ka socha hai..! Or usse par kam bhi chalu kar deta hai.. par b wo hai jo a ka bohot accha friend hone ka dawa karta hai..!? Or b apni life kuch nhi kar paata..! Wo bhi bohot kuch karne ke barme sochte hain. Par sochte sochte.. kitne din or mahine chale jaate hai.. haala ki A jo hai tab tak hoti bohot achieve kar leta hai.. ye baat B ko pata chalti hai..tab wo bhi soch leta hai A ko uske mindset se kese district karna hai...! Tab wo A ke pass jata hai. 

Actually A jo hai wo support me bohot accha hota hai.. runner banana chahata hai.. or wo social media par bhi aacha hai..! 

Ek din A or B ne dono ne milne ka socha.. ek garden meπŸ’πŸ’..


Then wo garden me milte hai... Ek durse ka haal chaal bhi puchte hai..! 

Tab B jo hai.. A ka mindset change karne me lag jata hai..
Or bhai kya chaal raha hai aj kal.. tum kyu apna time.. energy waste kar rahe ho suport par.. kuch or Karo ye sab chizzo par duniya nahi chalti.!! πŸ₯Ί Kab tak karte rahe ho gaye.. ye sab se kuch followers or kuch hi paise mile gaye na.. isse jada to kuch nahi.! πŸ₯Ί Ab tak kar hi kya liya tumne..?? Tab A ko bhi lagta hai kuch nahi rakha isme.. dono ghar chale jate hai...
A sochta hai.. ki ye sab chhodke ek new job karta hu.. wo job karne to lag jata hai... Par uski khushi sirf running or fitness me thi.. jab A ko laga ki job me uski khushi hai hi nahi. Tab usne phir se come back kiya apne ussi runner ek accha runner banane ke liye or fitnes coach banane ke liye.. jab usne socha ki ya sirf ek mera career nahi.. meri khushi ki wahaj bhi hai. Tab usne khudse promise kiya ki aj ke bad wo kisi ki baatao par nahi aayega..

Yaha tak b ki baat rehi tab ap khud soch li jiye unka haal kya hua hoga.. wo abhi bhi udr hi hai jidr wo pahle se tha.. 



Guys kuch toxic friendship bas humara mind district karne ke liye aate hai.. or ye log apko kabhi bhi kahi bhi mil sakte hai ho sakta hai.. wo apka dost ho ya apke dost ka dost ho wo apko kuch achieve karte hue nahi dekh sakta.. 

Aise bohot saare logo ke sath hota hai. Har koi aise friendship me aa hi jata hai.. jo badme hum sabko ek naya experience de gaye jata hai.. taki aage ja kar hum kabhi bhi dost banate to sochke.. ap kabhi bhi aise logo par trust karke apne life ki saari batate ma share kare jise badme wo apka ek weakness ban jaye.


So. Agar ap akele ho. Koi friends cricle ke sath nahi ho.. then that's great. Kisne bola hai friends hona ya kissi group me hona jaruri hai.. akela hona bhi ek bohot acchi baat hai.. aisa nhi hai ki friends bikul bhi mat banao par utne hi acche hai. Tab tak jab tak wo apke career ke bich me na aaye yah to wo apko district, apka mindset change na kare.. !!


Agar phir bhi lage ki aap aise logo ke bich me se nikal nahi pa rahe ho.. dheere dheere karke unse contact karna kam kar kijiye. Ye kese possible hai. Wo aise aapne aims par focus kijiye bas.. use aap ki productivity me improvement aayega.. free time par phone me kuch scroll karna jaruri nhi. Jise apka mindset phir se change ho..! Of course not.. books lijiye.. start reading it.. motivation novel, cosmi, amd etc par aap reading hi kijiye because ek book jitni acchi or sachi dost ho sakti hai utna koi nahi.. books kabhi nhi apka mindset change nahi kar sakti.. aapke aims ,goals ke bich me to kabhi bhi aa sakti.. apko improve karne me help kare gayi. Apke thinking ko or bhi jada clear and strong kare gayi.. so online & offline kitni books available hai kiska wait kar rahe hai aj hi reading karna aapne daily routine me add kar dijiye..! 


Now It's time to tips for dur rehiye inne toxic logo se..!!?? 

1.) Jaruri nhi bikul bhi jaruri nahi ki dost hone chaiye life me.. kuch aise log hote hai jo apni puri life bina dosto ke chale jate hai.. kya unki life nahi chalti.. kiske hone ya na hone se kabhi bhi apne ap ko infact mat hone do ye zindagi hai kuch hoga samjhke chalo acche ke liye hoga.. har chiz ko dil se laga ke betho gaye to kya aage chal pao gaye.. janab.. Yr zindagi hai jab tak experience le gaye nahi tab tak kabil insan kese banaao gaye.. kuch banana hai to bohot kuch to dekhna hoga.. kyu ki ye zindagi hai janab.. koi pubg nahi jidr game acchi na lage to game out kar diye jao gaye.. 

Akele reh kar ek fresh starting karna hi apke haath me hai.. bas focus aap kya se kya ban sakte ho.. or kitne time par ban sakte ho.. ek time period hona bhi bohot jaruri hai.. kuch kar dikhna hai yaha sab ko... Kuch soch rakha hai dil or dimag me... To kya farak padta hai usse sapne ko pura karne ke liye koi sath ho ya na ho.. sapna to aapka hai.. par isse me duniya ko dekh lijiye.!!! 


2.) Jab koi saath na ho tab to dimag super fast train se bhi jada speed me chalata hai.. isse waste na jaane de kuch motivate hi karte reh aapne ap ko jitna aachse ap khudko jaane sakte hai.. utna acchse koi bhi nahi sakta hai apko.. chaye wo koi bhi ho... Or agar phir bhi koi sath chaiye to bohot acche YouTuber hai.. kafi famous hai hum sab me se koi na koi unko janta hi hoga.. unka nam hai Sandeep Maheshwari.. bohot hi accha motivation dete hai.. me khud unhone suna pasand karti hu jab kab bhi udaas hoti hu ya kuch problems ka solution nahi milta to kuch aise acche or achievement person ko suna unse Inspired hona ek bohot acchi baat hai.. haaste haaste ye din bhi nikal jaye gaye.. kya pata kabhi hum akele bethe ke roye bhi bohot ho gaye.. kiski yaado me ya phir khudke liye.. isse acche din or bhi jaa sakte hai sochte bhi ho gaye.. sochna samjhna accha hai.. kabhi kabhi kuch na kare ke khudke liye haasna bhi ek zindagi ka rule hai... 

So guys aj ka topic idar hi chodke kal milte hai ek naye blog ke sath.. umeed hai apko blog pasand aaya hoga.. 
Kya aapne mere pervious blog dekha.. agar nahi dekha to kiska wait hai apko.. ja kar abhi dekh sakte hai "intention for Goals"

Tab tak ke liye bye.. kal milte hai or kaha sirf yaha jidr koi aa na paye.! Or agar aaye to phir jaa na paye..

Dosto ap muhje mere instagram id par bhi follow kar sakte hai handle is@themisskaur.. 

Tab tak khush reh muskate rehiye kuch ki ye zindagi hai.. janab yaha sab allow hai..πŸ™‚πŸ™‚πŸ™‚




Saturday 8 May 2021

Intention for your "Goals"

Hello Guys I'm Harpreet Kaur Dhune. I'm Fashion Blogger. I'm from Mumbai. In my very first blog I mention all my personal details u know can that blog as well . So Here I'm some motivation blog for you and as well me also because motivation single person nahi hota hai unke surrounding jo hote hai bhi hote hai and I'm also your surrounding .
So without any distribution any distraction I start my very new blog.
So headline dekhke apko pata chal gaya hoga ki aaj ka topic hai intention for your goals. Like guys goals bohot saare hote hai sabki life me kisko ghar chaiye khudka kisko khudka business chaiye or na jane kya kya par wo goals ke liye ek intention bhi chaiye hota hai to wo apke or mere intentions ke liye hi aj ka blog likha gaya hai 
So Guys blog start karne se pahle me ek do batate share karna chahti hu ap sab se yeah blog me kabse likhna chahti thi but jo chiz time par ho aisa kuch ho nahi sakta. Last year yahi month me mene blogging likhne ka safar ko apna banaya tha or aj 1 year ho gaye hai mujhe blogging karte or likhte hote jada kuch likh to nahi pai par sikhne ko bohot kuch mila. Or kuch aise new project karne ke barme bhi socha hai mene aage jake ap sabke sath wo share jarur karu gayi. And guys Idar me ek disclaimer dena chahti hu jaise ki ap jante ho gaye mere blog sab se alag hote hai me ek simple si life se ho kar apni feelings ke sath blog likhna pasand karti hu. Jo bhi me blog likhti hu me kiski bhi feelings ko hurt na hi karna chahti hu and na hi intention rakhti hu.
So now finally I start my blog Which is "Intention for your Goals".
Basically Intention kyu hote hai humari simple si life me kyu ki sab ke goals hote hai. Feelings hoti hai isliye wahi se aati hai intentions. Jise hum sab ek hai kuch same to same bhi hai or connected bhi hai.

Agar ap sochte hai apke sab hi goal complete ho successful ap bane to apke intention sahi ho sahi directions me ja rahe ho. Apke intention agar idar udar ho gaye jiske wahajse ap or apke surrounding rehne wale bhi hurt ho gaye to kya fayad hua apke goals ka jo make sure ap apna mind set completely accha or intention free rakh paye use kya hoga apke saare direction me jitni bhi problem aap face kare gaye wo full confidence of mature thinking se kare na ki josh me kam sara kharab kar de ok.
Guys kabhi bhi apko aisa lage ki ap fail ho rahe ho yah kuch disappointment face kar rahe ho so please apne ap ko looser na samjh kar wo sabhi disappointment ko face kare or khud me changes lekar aaye. And aise me ap patients rakh kar kam kare I know bolna bohot easy hai but trust me ap isse jada kuch kar bhi nahi sakte agar ap kuch kar bhi le gaye jada se jada kya gussa or use kya phir disappointment or na jaane kya kya face kare gaye. Guys isme to life ke har wo lessons hai jinko hum sabko samjhna hai I know work me up and down face karna padta hai par yahi life ka rules hai giro or phir come back karo ohk.. and Intention to sabki life me hote hai alag alag intention hote hai like business man ho to khudke business ko growth kare mile customer service kese or acchi kare or profit and loss or na jaane kya kya aise hi baki sab work profile ka haal hota hai koi kam easy nahi hota waise hi har kam ke piche ek accha intention ho tabhi hum kabhi bhi give up nahi karte. Intentions hai tabhi to goal hai tabhi to ek business man successful banta hai. Or aise hi sab hi work profile wale apni apni life me successful hote hai because of unki intentions ke wahajse.
So guys I have some tips jise may be apko help mile apke intentions ko samjhne ki or bhi acchse uspar work karni ki so.
Guys idar or ek choti si baat share karna chahti hu ki mera blog likhne ka ek ya bhi intention tha ki koi or koi ap me se motivated ho or ap me se ek me bhi hu jo meri personal life me motivated hoti hu kabhi kabhi khudki batato se.
So now I start the tips for intention for Goals.  
1.) Apko jabhi bhi aisa feel ho ap losses kare rahe hai khudko to please I request ki ap apne aise se baat kare wo apke dil ke bohot pass ho jo apko motivated kare apke goals ke liye jinko apse koi problem na ho or na hi apke goals se. Please make sure ap aise kiski stupid ke pass na jaye ho apko or bhi jada disappointed kare or apko apne goal ke dur kare de ohk this is my very first tip ohk



2.) If apki life me aisa koi nahi hai jise ap apni batate share kare jise ap comfortable feel na kare aise logo se ap dur reh or apne contact list me bhi na lekar aaye. Aise me kare bhi to kya. Childhood me hum sabke parents sab se pahle hath me kya dete hai any guesses.. ohk books obviously books if your very best friend and also first friend. Ap aise me ek novel or motivation books padh sakte hai jise ap akela feel na kare or na hi disappointed face kare. Ok aise me ek book ka nam dimag me yaad aa gaya. Mene thode din pahale hi wo book ko padha or motivate hui and wo book apko Google Play books me free me mil jaye gayi usse book ka nam hai how to think bigger. One of my favourite and inspiring book in my life.. ap bhi try kar sakte hai yahi same book Padh sakte hai. 
3.) If apki life me koi friends circle nahi hai apko books padhna bhi accha nahi lagta to ab kya kare!???? It's a very big problem. πŸ“ˆπŸ“ˆ I have solution



Aise me ek hi person hai jiske pass ap ja sakte hai. Ap apne room me jaye apne mirror ke samne jara nazar dekh to lijiye... Wo ap hi hai jo khudko motivated or intention free bana sakte hai.. ab wo kese wo aise get up in the early morning πŸŒ… do some work out jisse apke intention ko ek naya rishta mil jayega or isse apki body bhi fit reh gayi.. and hai remember work out karte time apke headset ki volume full honi chahiye.. taki apko koi district yah distribution naa kar paye.. kyu ki aise tum par



Na koi apna Na koi dost or Na koi book apka ho payega janab yeah duniya hai har din ek naya chehra nazar aayega.. (written by #Harpreetkaur)

So guys aj ke blog me sab itna hi kal phir ek naye blog ke sath mile gaye or kaha sirf yaha jidr koi na aa paye or aa bhi jaye to ja na paye ..

Or abhi tak ap sab hi ek face par smile aa hi gayi ho gayi .. to aise hi smile karte rehi or khudke goals ko hamesha apne se jada importance de or aise hi khudko motivated karte reh.


So I hope ap sab ko aj ka blog pasand aaya hoga bana dijiyega.. or chaye to instagram par bhi mujhe follow karna na bhule mera instagram handle hai @themisskaur #themisskaur ..

Kal milte hai bye.. guys

"Productivity for Goals"

 Hello guys .. I'm here back with my very fresh and new blog.. ❤️ how are you all.?? I'm hope you all are fit and fine with your fam...